...thik
waise hi mausam,
kahin
saare gaane,
kabhi
kahin waise hi hawa,
waise
hi khushboo,
phir
le aati hai, un pallon ko,
aaj
phir se jeene ki tamanna hai.
waise
hi subah,
aur
raat ki waise hi "dinner ke baad walk",
waise
hi dhup,
phir
wahi chandni,
phir
le aati hai, un baaton ko,
aaj
phir se jeene ki tamanna hai.
humara
woh andaaz,
apni
woh khushiyan,
waise
hi kahin dekhun toh,
phir
le aati hai, apna woh laundo wali baat,
aaj
phir se jeene ki tamanna hai.
wahi
school ki zindagi,
friday ki woh "fried rice ki bhukh",
juniors
ki woh "anna wali respect",
sundays
ki casual dress mein "sakht wali feelings",
waise
hi kahin mehsoos karoon toh,
aaj
phir se jeene ki tamanna hai...