Thursday 9 August 2018

Aaj phir se jeene ki tamanna hai…



...thik waise hi mausam,
kahin saare gaane,
kabhi kahin waise hi hawa,
waise hi khushboo,
phir le aati hai, un pallon ko,
aaj phir se jeene ki tamanna hai.

waise hi subah,
aur raat ki waise hi "dinner ke baad walk",
waise hi dhup,
phir wahi chandni,
phir le aati hai, un baaton ko,
aaj phir se jeene ki tamanna hai.

humara woh andaaz,
apni woh khushiyan,
waise hi kahin dekhun toh,
phir le aati hai, apna woh laundo wali baat,
aaj phir se jeene ki tamanna hai.

wahi school ki zindagi,
friday ki woh "fried rice ki bhukh",
juniors ki woh "anna wali respect",
sundays ki casual dress mein "sakht wali feelings",
waise hi kahin mehsoos karoon toh,
aaj phir se jeene ki tamanna hai...

Turn It Off And See What Happens

      Today's era has been evolving very fast and in a very different way that, for over a few decades, with technologies shaping up th...